Available in Hindi and English language
Chori, lootpaat, dakaiti ek aisa apradh hai jo ki lagta bahut chhota hai lekin hai bahut bada.
Har desh mein aise cases saamne aate hain. Jaise mobile ki chori, dukaan mein chaku lekar ghusna ya phir kisi khaali ghar mein din mein ghus kar wahan se sab kuch le jaana.
In maamlon mein zyada tar kam umar ke bachche saamne aate hain.
Jaise ki bara se sola saal ki umar ke bachche, halaaki bade log bhi aise apradh karte hain.
Kabhi-kabhi yeh apradhi logon ki jaan bhi le lete hain.
Kuch deshon mein yeh sirf dhamki dekar saamaan le jaate hain, toh kuch deshon mein yeh balatkaar, maar-peet, khoon jaise sangeen jurm bhi karte hain.
Inhe na kisi camera ka dar hota hai aur na hi kisi alarm ka. Yeh apradhi kabhi-kabhi itne shaatir bhi hote hain ki yeh security system ko hack bhi kar lete hain.
Technology ki jaankari inhe zyada hoti hai, aur aisi ghatna kabhi bhi kisi ke bhi saath ghat sakti hai.
Mehengi gaadi, mehange joote jaisi cheezein inka dhyaan aapki aur kheenchti hain.
Yeh chupkar aap par nazar rakh sakte hain, jis se inhe yeh pata chal sake ki kis-kis samay aap ghar mein nahi hote aur aapke ghar mein kitne log hain.
Din-raat ki yeh parwah nahi karte. Baarish mein inka kaam aur bhi aasaan ho jaata hai. Zyada tar yeh apradhi raat ko aise waqt chunte hain jab aapki neend sab se zyada gehri hoti hai.
Din mein yeh aise waqt chunte hain jab aap ghar mein akele ho ya aapke ghar mein koi na ho.
Ek kahawat bhi hai, chahe jitna intezaam kar lo, chor chori karke hi rahega.
Kya wajah ho sakti hai aise apradh ki? Mehengai? Aasaan raasta? Bina mehnat ke sab kuch haasil kar lena? Ya phir kuch aur? Jaise buri sangat, kisi aur se influence hona? Peer pressure? Ya kuch aur?
Aise mein humein kya karna chahiye?
Apne padosi ki jaankari hamesha rakhein. Kisi anjaan ke liye darwaaza na kholein. Aur agar kholein bhi toh unhe apne baare mein zyada jaankari na de.
Jaise ki aapke ghar mein kaun-kaun hai, yeh sab na batayein.
Agar koi aapko yeh kahe ki woh sarkaari kaam se ya kisi aur kaam, jaise charitable trust ke liye donation lene ya kisi company ki aur se sales karne aaya hai, toh turant uski ID check karein aur us ID ki pushti karein. Kisi anjaan ko apne ghar ke aas-paas bewajah ghoomta hua dekhein, toh uski soochna police ko de, patrolling ki maang karein, khud satark rahein aur padosiyon ko bhi satark rehne ko kahein.
Koi bhi chori ho, ek chhoti si cheez bhi, woh keemti ho ya na ho, turant police ko is ghatna ki jaankari de.
Agar lambe samay ke liye baahar jaate ho, toh social media post mein yeh jaankari public na karein. Kisi bharosemand ko kahein ki woh aapke ghar ko kam se kam ek baar aakar dekh le.